Hidayatullah Khan Shamsi

zindagi se mili saughat ye tanhai ki

Hidayatullah Khan Shamsi

Siddharth Nagar, Uttar pradesh, India

1970
zindagī se milī sauġhāt ye tanhā.ī kī
ḳhvāb TuuTe haiñ ka.ī aañkh meñ sahrā.ī kī
kyuuñ sar-e-bazm mirī us ne pazīrā.ī kī
us meñ sāzish to nahīñ phir se mire bhaa.ī kī
barq manzar se nigāhoñ kī basārat chhīne
fikr dushman ko mire hai mirī bīnā.ī kī
log chehre pe udāsī kā sabab pūchheñge
kyā kahūñgā ki mujhe fikr hai rusvā.ī kī
log bāhar se samajhte haiñ bahut ḳhush huuñ maiñ
kyā ḳhabar un ko mire zaḳhm kī gahrā.ī kī
maiñ bhī ā.ūñgā tujhe dene mubārakbādī
jab bhī āvāz sunūñgā tirī shahnā.ī kī
chhīn kar muñh se ġharīboñ ke nivāle 'shamsī'
hākim-e-vaqt ne kyā ḳhuub masīhā.ī kī
Top Urdushayar.com