taḌap ke haal sunāyā to aañkh bhar aa.ī
jo us ne zaḳhm dikhāyā to aañkh bhar aa.ī
thī jis charāġh se qaa.em mirī umīd-e-sahar
havā ne us ko bujhāyā to aañkh bhar aa.ī
zamāne-bhar kā sitam sah ke muskurātā rahā
fareb apnoñ se khāyā to aañkh bhar aa.ī
hamāre shahr kī galiyoñ meñ qahr Dhāte hue
lahū kā sail dar aayā to aañkh bhar aa.ī
sabā ne aah ḳhizāoñ ke saath mil kar phir
guloñ kā rañg uḌāyā to aañkh bhar aa.ī
jabīn-e-hāl pe maazī kī talḳh yādoñ ne
sunahrā naqsh banāyā to aañkh bhar aa.ī
tamām umr to apnoñ kī Thokaroñ meñ rahe
kisī ne sar pe biThāyā to aañkh bhar aa.ī
bichhaḌte vaqt kisī ne jo pyaar se 'shamsī'
machal ke haath hilāyā to aañkh bhar aa.ī