Hidayatullah Khan Shamsi

mujhe teri judai ka ye sadma mar Dalega

Hidayatullah Khan Shamsi

Siddharth Nagar, Uttar pradesh, India

1970
mujhe terī judā.ī kā ye sadma maar Dālegā
zamāne bhar meñ rusvā.ī kā charchā maar Dālegā
tumhāre naam se jānāñ mirā ye dil dhaḌaktā hai
ab aao haath rakh do varna dhaḌkā maar Dālegā
koī ġhamgīn mil jaa.e to hañsnā bhuul jaatā huuñ
kisī din ḳhair-ḳhvāhī kā ye jazba maar Dālegā
charāġhoñ meñ lahū Daalo hai laḌnī jañg zulmat se
vagarna ab ujāloñ ko añdherā maar Dālegā
zamīñ ke surḳh manzar raat ko sone nahīñ dete
kisī din mujh ko ye ehsās merā maar Dālegā
zamīñ par eḌiyāñ ragḌo ki ab chashma koī phūTe
bahut zālim hai dariyā ham ko pyāsā maar Dālegā
samundar paar karnā ishq kā āsāñ nahīñ 'shamsī'
bhañvar se bach bhī jaa.eñ to kinārā maar Dālegā
Top Urdushayar.com