Hidayatullah Khan Shamsi

mere shane pe rahne do abhi gesu zara Thahro

Hidayatullah Khan Shamsi

Siddharth Nagar, Uttar pradesh, India

1970
mire shāne pe rahne do abhī gesū zarā Thahro
bikhar jaane do apne jism kī ḳhushbū zarā Thahro
adhūrā chhoḌ kar jaao na ye qissa mohabbat kā
chhanakte haiñ abhī armān ke ghuñghrū zarā Thahro
sukūn-e-qalb kī ḳhātir shab-e-furqat maiñ chūmūñgā
banā lene do tasvīr-e-lab-o-abrū zarā Thahro
mirī rag rag meñ jānāñ bhar gayā hai nasha-e-qurbat
utar jaa.e tumhāre lams kā jaadū zarā Thahro
ye mausam kā taqāza aur bhīgī shab kī hasrat hai
badalnā ishq meñ hai āḳhirī pahlū zarā Thahro
kaleja shaq huā jaa.e bichhaḌne ke tasavvur se
mohabbat dil meñ kartī hai ab hā-o-hū zarā Thahro
ravāñ hai ḳhuun kā dariyā mirī āñkhoñ se ai 'shamsī'
abhī raqsāñ hai dil meñ dard kā jugnū zarā Thahro
Top Urdushayar.com