Kamran Adil

junun ki aabiyari kar raha hun

Kamran Adil

Khatauli, Uttar pradesh, India

junūñ kī ābiyārī kar rahā huuñ
maiñ vahshat ḳhud pe taarī kar rahā huuñ
chhupā kar zaḳhm apne qahqahoñ meñ
ġhamoñ kī parda-dārī kar rahā huuñ
ye duniyā hai bhalā kab merā maskan
yahāñ to shab-guzārī kar rahā huuñ
haqīqat meñ ye ik banjar zamīñ thī
maiñ jis par kāsht-kārī kar rahā huuñ
zamīñ do-gaz nahīñ hai paas aur maiñ
falak par da.ave-dārī kar rahā huuñ
badan ḳhud ho rahā hai merā zaḳhmī
maiñ kis par sañg-bārī kar rahā huuñ
inhī amrāz meñ ḳhud huuñ mulavvis
maiñ fatve jin pe jaarī kar rahā huuñ
falak vaale to hoñge hī muḳhālif
zamīñ vāloñ se yaarī kar rahā huuñ
kahāñ tum bhī ibādat kar rahe ho
agar maiñ duniyā-dārī kar rahā huuñ
mo.attar hai badan ḳhushbū se merā
guloñ kī ābiyārī kar rahā huuñ
ye maanā ḳhaak kā zarra huuñ 'ādil'
havāoñ par savārī kar rahā huuñ
Top Urdushayar.com