zehn-o-dil par savār rahtī hai
shā.irī bhī usī ke jaisī hai
maat kaise anā ko denī hai
maiñ ne tarkīb soch rakkhī hai
azm jaatā hai le ke manzil tak
raah to saath saath chaltī hai
maiñ ne dekhā hai vaqt badle to
rañg tasvīr bhī badaltī hai
maiñ ne maanā ki der se hī sahī
ḳhāmushī apnā kaam kartī hai
merā tā.īd karnā lāzim hai
baat un kī zabāñ se niklī hai
ham ko to sarhadoñ ne baañT diyā
us kā lahore merī dillī hai
be-ḳhudī hai ajiib shai 'ādil'
ret meñ machhliyāñ pakaḌtī hai