jo bahut be-ruḳhī se miltā hai
kyā kareñ dil usī se miltā hai
sirf matlab ke vāste ab to
aadmī aadmī se miltā hai
vo likhā hai kahāñ kitāboñ meñ
jo sabaq zindagī se miltā hai
martaba aaj bhī zamāne meñ
pyaar se ājizī se miltā hai
is kā darmāñ nahīñ koī 'ādil'
dard jo dostī se miltā hai