hai dushmanoñ se bhī vābasta husn-e-zan merā
yahī kamāl hai mujh meñ yahī hai fan merā
maiñ mausamoñ ke taġhayyur se kaañp uThtā huuñ
bharī bahār meñ ujḌā thā kal chaman merā
maiñ dasht chhoḌ ke aayā huuñ ai nagar vaalo
ki lagte lagte lagegā yahāñ pe man merā
hai itnī bhuuk mire vārisoñ ko virse kī
ḳharīd laa.e mire jīte-jī kafan merā
usī ne ek nayā zaḳhm de ke chhoḌ diyā
ki dastiyāb jise bhī huā badan merā
tamām shahr hī naqqād ho gayā 'ādil'
parakh rahe haiñ kasauTī pe sab suḳhan merā