chāhā bayāñ karūñ joñ hai mere ḳhayāl meñ
ma.anī ulajh ke rah ga.e lafzoñ ke jaal meñ
jiitā hai kaun bahs meñ mūrakh se aaj tak
be-kār kyuuñ ulajhte ho tum qīl-o-qāl meñ
le jaane vaale luuT ke sab kuchh chale ga.e
ham sochte hī rah ga.e kaalā hai daal meñ
mumkin hai un ke dar se Takā sā mile javāb
lekin na hichkichā.iye apne savāl meñ
rishte kī baat kaun kisī se kare yahāñ
apnā banā ke log phañsāte haiñ jaal meñ
phūloñ kā dil kalī kī tamannā mirī duā
kaam aa.e rañg ban ke tumhāre jamāl meñ
rakhte haiñ naap tol ke vo har qadam 'shamīm'
pyārī lage hai un kī adā TeḌhī chaal meñ