Miyan dad Khan Sayyah

kabhi idhar jo sag-e-ku-e-yar aa nikla

Miyan dad Khan Sayyah

1829-1907

kabhī idhar jo sag-e-kū-e-yār aa niklā

gumāñ huā mire vīrāne meñ humā niklā

ruḳh us dekh huā zard nayyar-e-āzam

sunahre burj se jis dam vo mah-laqā niklā

vo sun ke paak mohabbat naam kahte haiñ

hamārī jaan ko lo ye bhī pārsā niklā

hamāre paañv paḌe aa ke aable har gaam

kabhī jo dasht-e-junūñ meñ barhana-pā niklā

mah-e-siyām meñ aayā jo vo hilāl-abrū

gumāñ huā ye mujhe chāñd iid niklā

jahāñ sair to ne lekin ai shah-e-husn

kabhī faqīr ke takiye pe na aa niklā

na niklā vahm ke maare vo ghar se bhī 'sayyah'

galī se yaar ke tābūt jab mirā niklā

Top Urdushayar.com