kaun sayyād idhar bahr-e-shikār aatā hai
tā.ir-e-dil qafas-e-tan meñ jo ghabrātā hai
zulf-e-mushkīñ kā jo is shoḳh ke dhyān aatā hai
zaḳhm se sīna-e-majrūh kā char jaatā hai
hijr meñ maut bhī aa.ī na mujhe sach hai masal
vaqt par kaun kisī ke koī kaam aatā hai
ab to allāh hai yārān-e-vatan kā hāfiz
dasht meñ josh-e-junūñ ham ko liye jaatā hai
Duub kar chāh-e-zaqan siina mirā dil niklā
qadd-e-ādam se sivā aab nazar aatā hai
muzhda ai dil ki masīhā ne diyā saaf javāb
ab koī dam ko laboñ par mirā dam aatā hai
teġh sī chaltī hai qātil kī dam-e-jañg zabāñ
sulh kā naam jo letā hai to haklātā hai
turra-e-kākul-e-pechāñ ruḳh-e-nūrānī par
chashma-e-ā.īna meñ saañp sā lahrātā hai
shauq tauf-e-haram-e-kū-e-sanam kā din raat
sūrat-e-naqsh-e-qadam Thokareñ khilvātā hai
dū-ba-dū āshiq-e-shaidā se vo hogā kyūñkar
ā.īne meñ bhī jo muñh dekhte sharmātā hai
saḳht pachhtāte haiñ ham de ke dil us ko 'sayyāh'
apnī afsos javānī pe hameñ aatā hai