jab se dekhā hai banā gosh-e-qamar meñ tinkā
phāñs kī tarah khaTaktā hai jigar meñ tinkā
neza-bāzī pe hameñ apnī na dhamkā ai turk
ham samajhte haiñ ise apnī nazar meñ tinkā
ātish nāla-e-bulbul ye chaman meñ bhaḌkī
na bachā naam ko sayyād ke ghar meñ tinkā
ḳhār-e-mizhgāñ ko nazar bhar ke na dekhā maiñ ne
paḌ gayā uḌ ke mire dīda-e-tar meñ tinkā
sun ke aamad tirī ā.ankhoñ se uThā lete haiñ
dekhte haiñ jo paḌā rāhguzar meñ tinkā
gird us bahr-e-safā ke maiñ phirā kartā huuñ
rahtā hai gardī meñ jis tarah bhañvar meñ tinkā
āh-e-sozāñ ne jalā.e tire jañgal 'sayyāh'
naam ko bhī na rahā ek shajar meñ tinkā