qais jañgal meñ akelā hai mujhe jaane do
ḳhuub guzregī jo mil baiTheñge dīvāne do
laal Dore tirī āñkhoñ meñ jo dekhe to khulā
mai-e-gul-rañg se labrez haiñ paimāne do
Thahro tevrī ko chaḌhā.e hue jaate ho kidhar
dil kā sadqa to abhī sar se utar jaane do
man.a kyuuñ karte ho ishq-e-but-e-shīrīñ-lab se
kyā maze kā hai ye ġham dosto ġham khāne do
ham bhī manzil pe pahuñch jā.eñge marte khapte
qāfila yāroñ kā jaatā hai agar jaane do
sham o parvāna na mahfil meñ hoñ bāham zinhār
sham.a-rū ne mujhe bheje haiñ ye parvāne do
ek aalam nazar aa.egā giraftār tumheñ
apne gesū-e-rasā tā-ba-kamar jaane do
saḳht-jānī se maiñ aarī huuñ nihāyat ai 'talḳh'
paḌ ga.e haiñ tirī shamshīr meñ dandāne do
hashr meñ pesh-e-ḳhudā faisla is kā hogā
zindagī meñ mujhe us gabr ko tarsāne do
gar mohabbat hai to vo mujh se phiregā na kabhī
ġham nahīñ hai mujhe ġhammāz ko bhaḌkāne do
josh-e-bārish hai abhī thamte ho kyā ai ashko
dāman-e-koh-o-bayābāñ ko to bhar jaane do
vā.izoñ ko na kare man.a nasīhat se koī
maiñ na samjhūñgā kisī tarah se samjhāne do
rañj detā hai jo vo paas na jaao 'sayyāh'
maano kahne ko mire duur karo jaane do