nahīñ miltā dilā ham ko nishāñ tak
makāñ DhūñD aa.e us kā lā-makāñ tak
banā har mū-e-tan ḳhār-e-muġhīlāñ
satāyā josh-e-vahshat ne yahāñ tak
hamārī jaan ke pīchhe paḌā hai
dil-e-nādāñ ko samjhā.eñ kahāñ tak
ravāñ shab ko huā kyā nāqa-e-rūh
nazar aa.ī na gard-e-kārvāñ tak
zamīñ pe zalzala aayā to pahuñchā
mire nāloñ kā ġhauġhā āsmāñ tak
mile hai dil ko zauq-e-bosa-e-lab
mazā hai varna har shai kā zabāñ tak
jo rakhte the dimāġh apnā falak par
zamīñ par ab nahīñ un kā nishāñ tak
jalāyā sham.a sā us shola-rū ne
ga.e ghul soz-e-ġham se ustuḳhāñ tak
jahāñ kī sair kī 'sayyah' ham ne
na pahuñche par suḳhan ke qadr-dāñ tak