hai dil ko is tarah se mire yaar kī talāsh
jis tarah thī kalīm ko dīdār kī talāsh
hoñ riñd sar khulā bhī jo hove to Dar nahīñ
zāhid nahīñ ki mujh ko ho dastār kī talāsh
maiñ huuñ kahīñ pa āThoñ pahar hai usī kī fikr
jaatī nahīñ hai dil se mire yaar kī talāsh
dil hāthoñ-hāth bik gayā bāzār-e-ishq meñ
karnī paḌī na mujh ko ḳharīdār kī talāsh
apne hī dil meñ DhūñDhnā lāzim thā yaar ko
itne dinoñ jo kī bhī to be-kār kī talāsh
bai.āna naqd-e-jāñ karo 'sayyāh' pesh-kash
rahtī hai un ko aaise ḳharīdār kī talāsh