apne hī dam se hai charchā kufr aur islām kā
gaah aabid huuñ ḳhudā kā gah pujārī raam kā
loTte haiñ jis ko sun sun kar hazāroñ murġh-e-dil
ho rahā hai zikr kis ke gesuoñ ke daam kā
chashm-e-mast-e-yār kā ham-chashm lo paidā huā
dekhnā ab post khīñchā jā.egā bādām kā
sair kartā hai vo aalam kī mirā paik-e-nigāh
laakh hai be-dast-o-pā lekin hai phir sau kaam kā
sar judā tan se kiyā ik haath meñ jallād ne
naqd-e-jāñ diije kiyā us ne ye kaam in.aam kā
haiñ shah-e-malk-e-junūñ sahrā hai apnā taḳht-gāh
tan pe har dāġh-e-junūñ sikka hai apne naam kā
jald naam apnā batā de jaise banda huuñ tirā
vāsta detā huuñ maiñ ai but ḳhudā ke naam kā
but-parastī kī bahut 'sayyāh' ab kar yaad haq
shuġhl-e-maulā meñ rahe banda vahī hai kaam kā