na mil sakā kahīñ DhūñDe se bhī nishān mirā
tamām raat bhaTaktā rahā kisān mirā
maiñ ghar basā ke samundar ke biich soyā thā
uThā to aag kī lapToñ meñ thā makān mirā
junūñ na kahiye ise ḳhud-aziyyatī kahiye
badan tamām huā hai lahū-luhān mirā
havā.eñ gard kī sūrat uḌā rahī haiñ mujhe
na ab zamīñ hī mirī hai na āsamān mirā
dhamak kahīñ ho laraztī haiñ khiḌkiyāñ merī
ghaTā kahīñ ho Tapaktā hai sā.ebān mirā
musībatoñ ke bhañvar meñ pukārte haiñ mujhe
ajiib dost haiñ lete haiñ imtihān mirā
kise ḳhutūt likhūñ hāl-e-dil sunā.ūñ kise
na koī harf-e-shanāsā na ham-zabān mirā