Nashtar Khaanqahi

kashish to ab bhi ghazab ki hai nazninon mein

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
kashish to ab bhī ġhazab kī hai nāznīnoñ meñ
magar vo chāñd chamaktā nahīñ jabīnoñ meñ
ye sab ke chehroñ meñ yaksāniyat sī kaisī hai
hasīn-tar koī jachtā nahīñ hasīnoñ meñ
jo mere zehn meñ thī sabza-zār ḳhvāb meñ thī
kahāñ vo fasl ugaa.ī ga.ī zamīnoñ meñ
shu.ūr-e-umr se afzūñ huī hai umr-e-shu.ūr
hamāre saal guzarne lage mahīnoñ meñ
zabāñ se roz maiñ tā.īd-e-izn kartā huuñ
chhupe haiñ but bhī magar merī āstīnoñ meñ
numā.isheñ na furūī takallufāt yahāñ
kahāñ tum aa ga.e ham boriyā-nashīnoñ meñ
ba-juz tumhāre nahīñ koī ḳhānqāhī ab
maiñ kis kā naam likhūñ apne nukta-chīnoñ meñ
Top Urdushayar.com