Nashtar Khaanqahi

qahr tha hijrat mein KHud ko be-aman karna tera

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
qahr thā hijrat meñ ḳhud ko be-amāñ karnā tirā
dasht-e-nāmahfūz aur us meñ makāñ karnā tirā
is kahānī meñ mirā kirdār hī goyā na thā
yuuñ haqīqat ko mirī be-dāstāñ karnā tirā
chhin gayā ākāsh kā ḳhema to shām-e-hijr meñ
kuchh dhueñ ke bādaloñ ko āsmāñ karnā tirā
uf! ye majbūrī ki jab saare nasheman jal ga.e
TūTne vaale shajar par āshiyāñ karnā tirā
bhūlnā mushkil hai vo manzar ki mujh ko ek din
sar pe rakh kar haath yuuñ be-sā.ebāñ karnā tirā
mustaqil lā-hāsilī ko apnā hāsil maan kar
zindagī ko lamha lamha rā.egāñ karnā tirā
bad-gumānī kī ḳhalish paidā huī thī jin dinoñ
un dinoñ ko mere apne darmiyāñ karnā tirā
Top Urdushayar.com