Nashtar Khaanqahi

bahut qarib hai pat-jhaD ki rut palak na uTha

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
bahut qarīb hai pat-jhaḌ kī rut palak na uThā
zamīñ se aks uThā dhuup kī chamak na uThā
ġhilāf-e-sañg meñ lipTā huā hai shahr kā shahr
chalī havā to zamīñ se ġhubār tak na uThā
qadam qadam pe ye Dar thā ki ghaat meñ hai koī
yahāñ to pā-e-tafakkur meñ thī jhijak na uThā
phir apnā apnā kafan le ke chal diye sab log
kisī se bār-e-ġham-e-marg-e-mushtarak na uThā
maiñ chob-e-ġham thā ki pahroñ sulag sulag ke jalā
kabhī jo sho.ala uThā bhī to yak-ba-yak na uThā
shigāf-e-sar ko vajūd-e-havā-e-shor bahut
ye shahr-e-sañg hai yaañ tohmat-e-namak na uThā
bahut zamīñ se uThāyā uThī na parchhā.īñ
girā thā aks kuchh aisā ki aaj tak na uThā
Top Urdushayar.com