Nashtar Khaanqahi

mere badan ki aag hi jhulsa gai mujhe

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
mere badan kī aag hī jhulsā ga.ī mujhe
dekhā jo aa.ina to hañsī aa ga.ī mujhe
merī numūd kyā hai bas ik tūda-e-siyāh
kaundī kabhī jo barq to chamkā ga.ī mujhe
jaise maiñ ik sabaq thā kabhī kā paḌhā huā
uTThī jo vo nigāh to dohrā ga.ī mujhe
har sub.h maiñ ne ḳhud ko ba-mushkil baham kiyā
aa.ī jo ġham kī raat to bikhrā ga.ī mujhe
maiñ dasht-e-ārzū pe ghaTā ban ke chhā gayā
garmī tire vajūd kī barsā ga.ī mujhe
ye fart-e-intizār hai yā shiddat-e-hirās
ḳhāmoshiyoñ kī chaap bhī chauñkā ga.ī mujhe
terī nazar bhī de na sakī zindagī kā fan
marne kā khel sahal thā sikhlā ga.ī mujhe
Top Urdushayar.com