dekhā nahīñ dekhe hue manzar ke sivā kuchh
hāsil na huā sair-e-mukarrar ke sivā kuchh
muddat se hai ma.amūra-e-bāzār-e-ġharībāñ
ye shahr na thā jis meñ tire ghar ke sivā kuchh
kis haal meñ us shoḳh se vābasta huā dil
sauġhāt meñ dene ko nahīñ sar ke sivā kuchh
vo ġhurfa-nashīnī hai na hai shahr-navardī
baaqī na rahā hijr meñ bistar ke sivā kuchh
phūloñ se badan Dūbte dekhe ga.e akasr
is bahr meñ terā nahīñ patthar ke sivā kuchh
karte bhī talab kyā kyā yahāñ dasht-e-atā meñ
dene ko na thā jins-e-mayassar ke sivā kuchh