Nashtar Khaanqahi

musafir KHana-e-imkan mein bistar chhoD jate the

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
musāfir ḳhāna-e-imkāñ meñ bistar chhoḌ jaate the
vo ham the jo charāġhoñ ko munavvar chhoḌ jaate the
sabhī ko agle farsañgoñ kī paimā.ish muqaddar thī
musāfir tai-shuda mīloñ ke patthar chhoḌ jaate the
garajte-gūñjte aate the jo sunsān sahrā meñ
vahī bādal ajab vīrān manzar chhoḌ jaate the
na thiiñ ma.alūm bhūkī nasl kī majbūriyāñ un ko
phaTī chādar vo talvāroñ ke uupar chhoḌ jaate the
nahīñ kuchh e'tibār ab qufl o darbāñ kā kabhī ham bhī
paḌosī ke bharose par khulā ghar chhoḌ jaate the
lahū par apne hī mauqūf thī dhartī kī zarḳhezī
sabhī dahqāñ yahāñ khetoñ ko banjar chhoḌ jaate the
kabhī āñdhī kā ḳhadsha thā kabhī tūfāñ kā andesha
vo registān le jaate to sāgar chhoḌ jaate the
Top Urdushayar.com