surma.ī dhuup meñ din sā nahīñ hone paatā
dhund vo hai ki ujālā nahīñ hone paatā
dene lagtā hai koī zehn ke dar par dastak
niind meñ bhī to maiñ tanhā nahīñ hone paatā
gher letī haiñ mujhe phir se añdherī rāteñ
merī duniyā meñ saverā nahīñ hone paatā
chhīn lete haiñ use bhī to ayādat vaale
dukh kā ik pal bhī to merā nahīñ hone paatā
saḳht-jānī mirī kyā chiiz hai hairat hairat
choT khātā huuñ shikasta nahīñ hone paatā
laakh chāhā hai magar ye dil-e-vahshī duniyā
tere hāthoñ kā khilaunā nahīñ hone paatā