Nashtar Khaanqahi

aage pahuncha jal ka dhaara bajra pichhe chhuT gaya

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
aage pahuñchā jal kā dhārā bajrā pīchhe chhūT gayā
rasta chhoḌ savāroñ ko maiñ piyāda pīchhe chhūT gayā
ye bastī kaun sī bastī hai aa ke kahāñ bas Thahar ga.ī
jis dhaam utarnā chāhā thā vo qasba pīchhe chhūT gayā
aage aage lambī Dagar hai ret bhare maidānoñ kī
jis taT ik pal Thahre the vo dariyā pīchhe chhūT gayā
baiThe haiñ sailānī saare patjhaḌ hai vishvāsoñ kā
mandir chhūTā girjā chhūTā ka.aba pīchhe chhūT gayā
vaqt kī ḳhāna-bandī saarī ab ke safar meñ dhuul huī
maazī kaisā haal kahāñ kā fardā pīchhe chhūT gayā
kitne kuchh the jīvan-sāthī kitne kuchh the lahū sharīk
chehra sab kā saath hai lekin rishta pīchhe chhūT gayā
chhoTā kamra habs balā kā chhoTī aql ke āshiq ham
vahshat karne jaa.eñ kahāñ jab sahrā pīchhe chhūT gayā
Top Urdushayar.com