Nashtar Khaanqahi

apna bimar hai dil ishq ka bimar nahin

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
apnā bīmār hai dil ishq kā bīmār nahīñ
ḳhud tashaffī ke sivā hijr kā āzār nahīñ
tīrgī aisī ġhazab kī ki ayāzan-billāh
aisā lagtā hai ki ghar hai dar-o-dīvār nahīñ
hashr ke ba.ad bhī vīrāñ hī rahegī jannat
kaun haqdār hai koī bhī to haqdār nahīñ
tah maiñ kuchh aur haiñ uupar se haiñ ḳhabreñ kuchh aur
bā-ḳhabar tum bhī nahīñ maiñ bhī ḳhabar-dār nahīñ
jis kī chaukhaT pe bhī ruktā huuñ yahī lagtā hai
ye dar-e-yār nahīñ ye bhī dar-e-yār nahīñ
nekiyoñ ke liye māhaul muāfiq bhī to ho
kaun kahtā hai ki merā koī kirdār nahīñ
Top Urdushayar.com