har baar nayā le ke jo fitna nahīñ aayā
is umr meñ aisā koī lamha nahīñ aayā
huuñ ghar meñ ki ahbāb meñ mātūb rahe ham
kuchh ham se na aayā to dikhāvā nahīñ aayā
ālūda kabhī gard-e-talab se na hue ham
hoñToñ pe kabhī harf-e-tamannā nahīñ aayā
ye bhī hai ki mauzūñ na thī duniyā kī ravish bhī
kuchh ham se bhī jiine kā salīqa nahīñ aayā
chhoḌā to na thā ham ne savāloñ kā koī hal
thī jis kī tavaqqo vo natīja nahīñ aayā
nīlām na kar dī ho kahīñ pyaas kī ġhairat
is baar koī kuufe se pyāsā nahīñ aayā
ik shaḳhs pahelī kī tarah saath thā mere
maiñ shahr se niklā to akelā nahīñ aayā