dhaḌkā thā dil ki pyaar kā mausam guzar gayā
ham Dūbne chale the ki dariyā utar gayā
ḳhvāboñ kī vo matā-e-girāñ kis ne chhīn lī
kyā jāniye vo niiñd kā aalam kidhar gayā
tum se bhī jab nashāt kā ik pal na mil sakā
maiñ kāsa-e-savāl liye dar-ba-dar gayā
bhūle se kal jo aa.ina dekhā to zehn meñ
ik munhadim makān kā naqsha utar gayā
tez āñdhiyoñ meñ paañv zamīñ par na Tik sake
āḳhir ko maiñ ġhubār kī sūrat bikhar gayā
gahrā sukūt raat kī tanhā.iyāñ khañDar
aise meñ apne aap ko dekhā to Dar gayā
kahtā kisī se kyā ki kahāñ ghūmtā phirā
sab log so ga.e to maiñ chupke se ghar gayā