vasl arzāñ vaqt kī lekin farāvānī ga.ī
baḌh ga.ī jitnī suhūlat utnī āsānī ga.ī
ma.asiyat kā zikr kyā hai ma.asiyat pahle bhī thī
rañj to ye hai gunāhoñ se pashemānī ga.ī
ishq bhī dil se kiyā jogī bane vahshat bhī kī
kyā huā kuchh to kaho kyā vaz-e-haivānī ga.ī
ek lambā fāsla hai jaan se pahchān tak
shakl jo jaanī ga.ī vo bhī na pahchānī ga.ī
pahle bhī sailāb aate the magar kyā is qadar
ab ke to barsāt meñ har fasl bārānī ga.ī
zer-e-lab ik lafz ne kaisā hameñ chauñkā diyā
pal hī pal meñ 'ḳhānqāhī' sab hama-dānī ga.ī