Nashtar Khaanqahi

KHush-fahmiyon ko dard ka rishta aziz tha

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
ḳhush-fahmiyoñ ko dard kā rishta aziiz thā
kāġhaz kī naav thī jise dariyā aziiz thā
ai tañgi-e-dayār-e-tamannā batā mujhe
vo paañv kyā hue jinheñ sahrā aziiz thā
pūchho na kuchh ki shahr meñ tum ho na.e na.e
ik din mujhe bhī sair o tamāshā aziiz thā
be-ās intizār o tavaqqo baġhair shak
ab tum se kyā kaheñ hameñ kyā kyā aziiz thā
vāda-ḳhilāfiyoñ pe thā shikvoñ kā inhisār
jhūTā sahī magar mujhe vaada aziiz thā
ik rasm-e-bevafā.ī thī vo bhī huī tamām
vo yār-e-bevafā mujhe kitnā aziiz thā
yādeñ mujhe na jurm-e-ta.alluq kī deñ sazā
merā koī na maiñ hī kisī kā aziiz thā
Top Urdushayar.com