sahrā kā patā de na samundar kā patā de
achchhā ho ki ab mujh ko mire ghar kā patā de
hai kaun mirā dushman-e-jāñ mujh ko ḳhabar hai
kab maiñ ne kahā mujh ko sitamgar kā patā de
ye raat amāvas kī to kaaTe nahīñ kaTtī
ab aa ke mujhe māh-e-munavvar kā patā de
ḳhatre meñ paḌī jaatī hai maqtūl kī pahchān
shāyad hī koī shahr meñ ab sar kā patā de
be-samt-o-jehat bhiiḌ meñ shāmil na ho us se
ummat kā pata pūchh payambar kā patā de
maidān hai ḳhālī koī parcham hai na sar hai
hai kaun jo kho.e hue lashkar kā patā de
ab āḳhirī taarā bhī huā aañkh se ojhal
ai āsmāñ ab sub.h ke manzar kā patā de