Nashtar Khaanqahi

ye dasht-o-daman koh o kamar kis ke liye hai

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
ye dasht-o-daman koh o kamar kis ke liye hai
har lamha zamīñ garm-e-safar kis ke liye hai
kis kis ke muqābil hai mirī quvvat-e-bāzū
biphrī huī maujoñ meñ bhañvar kis ke liye hai
jā jā ke palaT aate haiñ kis ke liye mausam
ye shaam shafaq raat sahar kis ke liye hai
haiñ kis ke ta.alluq se mirī aañkh meñ aañsū
muTThī meñ sadaf kī ye guhar kis ke liye hai
alfāz haiñ mafhūm se labrez to kyuuñ haiñ
gar hai to duāoñ meñ asar kis ke liye hai
be-nīnd guzar jaatī haiñ kis ke liye rāteñ
ye kāvish-e-fan arz-e-hunar kis ke liye hai
kis ke liye Dhaltī haiñ mirī fikr kī shāmeñ
ye qalb-e-hazīñ dīda-e-tar kis ke liye hai
uThtā hai savāloñ se savāloñ kā dhundalkā
sab us ke liye hai vo magar kis ke liye hai
Top Urdushayar.com