tāmīr ham ne kī thī hamīñ ne girā diye
shab ko mahal banā.e savere girā diye
kamzor jo hue hoñ vo rishte kise aziiz
piile paḌe to shāḳh ne patte girā diye
ab tak hamārī umr kā bachpan nahīñ gayā
ghar se chale the jeb ke paise girā diye
patthar se dil kī aag sambhālī nahīñ ga.ī
pahuñchī zarā sī choT patiñge girā diye
barsoñ hue the jin kī taheñ kholte hue
apnī nazar se ham ne vo chehre girā diye
shahr-e-tarab meñ raat havā tez thī bahut
kāñdhoñ se mah-vashoñ ke dupaTTe girā diye
tāb-e-nazar ko hausla milnā hī thā kabhī
kyuuñ tum ne ehtiyāt meñ parde girā diye