kabhī to multavī zikr-e-jahāñ-gardāñ bhī honā thā
kabhī to ehtimām-e-sohbat-e-yārāñ bhī honā thā
tavaqqo ke mutābiq hai ye tabdīlī to hairat kyā
use mushkil bhī honā thā mujhe āsāñ bhī honā thā
riyā-kāroñ pe kal tak jis ke darvāze muqaffal the
usī jannat meñ jashn-e-fitna-pardāzāñ bhī honā thā
kabhī dekhā na thā yuuñ ham ne bāzār-e-vafā vīrāñ
to kyā is shahr meñ qahat-e-ḳharīdārāñ bhī honā thā
abhī tak jo kināre se ba-zāhir shānt lagtā thā
usī dariyā ko ab tūfāñ pas-e-tūfāñ bhī honā thā
bil-āḳhir ham bhī shab bhar jāgte rahne se baaz aa.e
dayār-e-hijr meñ kuchh vasl kā sāmāñ bhī honā thā
ye taaza bāb-e-dānā.ī yahāñ aa kar maiñ shashdar huuñ
jo kal tak the bahut daanā unheñ nādāñ bhī honā thā