Nashtar Khaanqahi

ruKH badalte hichkichate the ki Dar aisa bhi tha

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
ruḳh badalte hichkichāte the ki Dar aisā bhī thā
ham havā ke saath chalte the magar aisā bhī thā
lauT aatī thiiñ ka.ī sābiq patoñ kī chiTThiyāñ
ghar badal dete the bāshinde magar aisā bhī thā
vo kisī kā bhī na thā lekin thā sab kā mo'tabar
koī kyā jaane ki us meñ ik hunar aisā bhī thā
paañv ā.inda kī jānib sar guzishta kī taraf
yuuñ bhī chalte the musāfir ik safar aisā bhī thā
taultā thā ik ko ik ashyā-e-masraf kī tarah
dostī thī aur andāz-e-nazar aisā bhī thā
ḳhud se ġhāfil ho ke jo pal bhar na ḳhud ko sochtā
is bharī bastī meñ koī be-ḳhabar aisā bhī thā
har na.ī rut meñ badal jaatī thī taḳhtī naam kī
jis ko ham apnā samajhte koī ghar aisā bhī thā
Top Urdushayar.com