ilm kis ko thā ki tarsīl-e-havā ruk jā.egī
agle mausam tak mirī nashv-o-numā ruk jā.egī
ho chukegā daf.atan zauq-e-samā.at muḳhtalif
aate aate mere hoñToñ tak sadā ruk jā.egī
tū hī kyuuñ nādim hai itnī mere ghar kī aabrū
kis ke sar par aisī āñdhī meñ ridā ruk jā.egī
ab tamāshā dekhne vāloñ meñ ham-sāya bhī hai
TūTtī chhat mere chillāne se kyā ruk jā.egī
kārvāñ ko gher hī legā sukūt-e-regzār
gūñjne se qabl hī bāñg-e-darā ruk jā.egī
kal na hogā koī is bastī meñ merā muntazir
kal mire talvoñ hī meñ āvāz-e-pā ruk jā.egī
kyā tahaffuz de sakegī mujh ko vaz-e-ehtiyāt
kyā darīche muuñd lene se balā ruk jā.egī