Nashtar Khaanqahi

aap apni zat mein simTa hua aalam tamam

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
aap apnī zaat meñ simTā huā aalam tamām
tum ko yuuñ jaanā ki thā jaanā huā aalam tamām
kal to begāna thā lekin aaj hai begāna-tar
ik sar-e-añgusht par rakkhā huā aalam tamām
dastaras kā zikr kyā hai āgahī kī baat kyā
rū-ba-rū hai gard meñ uḌtā huā aalam tamām
gar badal jaate to thī duniyā kī har shai hasb-e-hāl
ham nahīñ badle to hai badlā huā aalam tamām
jāntā huuñ maiñ agar jaagā to ye so jā.egā
ab huuñ ḳhvābīda to hai jaagā huā aalam tamām
uñgliyoñ ke pech se pechīda girheñ tah-ba-tah
nāḳhunoñ ke darmiyāñ uljhā huā aalam tamām
ik mirī ḳhātir jo the sab ke duā-go kyā hue
uf ye mahrūmī ki hai sahmā huā aalam tamām
Top Urdushayar.com