Nashtar Khaanqahi

shajar aangan ka jab suraj se larzan hone lagta tha

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
shajar āñgan kā jab sūraj se larzāñ hone lagtā thā
koī saaya mire ghar kā nigahbāñ hone lagtā thā
tasallī dene lagtī thiiñ mujhe juz-bandiyāñ us kī
maiñ jab ik ik varaq ho kar pareshāñ hone lagtā thā
sahar jis kī munājātoñ se thī rāteñ tahajjud se
maiñ us kī paak sohbat meñ musalmāñ hone lagtā thā
duā paḌh kar mirī maañ jab mire siine pe dam kartī
aqīdat ke añdheroñ meñ charāġhāñ hone lagtā thā
purāne peḌ phir taaza phaloñ se ladne lagte the
ga.e mausam se dil jab bhī gurezāñ hone lagtā thā
chunautī dene lagtī thiiñ na.ī dushvāriyāñ mujh ko
safar jab zindagī kā mujh pe āsāñ hone lagtā thā
batā.ūñ kyā ki kaisā bā-muravvat shaḳhs thā vo bhī
mujhe ilzām de kar ḳhud pashemāñ hone lagtā thā
Top Urdushayar.com