abhī tak jab hameñ jiinā na aayā
bharosā kyā ki kal aayā na aayā
jale ham yuuñ ki jaise chob-e-nam hoñ
charāġhoñ kī tarah jalnā na aayā
ġhuleleñ lā ke bachche pūchhte haiñ
parinda kyuuñ vo dobārā na aayā
maiñ kyā kahtā ki sab ke saath meñ thā
ayādat ko bhī vo tanhā na aayā
ihāta chahār-dīvārī añdherā
kisī jānib bhī darvāza na aayā
vo pahle kī tarah bichhḌā hai ab bhī
magar ab ke hameñ ronā na aayā
ḳhazāna le uḌā choroñ kā jatthā
palaT kar phir alī-bābā na aayā