Nashtar Khaanqahi

dhajji dhajji jubba-o-dastar hote dekhna

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
dhajjī dhajjī jubba-o-dastār hote dekhnā
'mīr' ko be-āshiqī bhī ḳhvār hote dekhnā
kasrat-e-dānishvarāñ ko qaht-e-dānish jānñā
vus.atoñ ko dasht kī dīvār hote dekhnā
rukne vaalī hai fishār-e-dam se nabz-e-inhirāf
ḳhud ko ab sar-tā-ba-pā inkār hote dekhnā
pīr-e-sad-sāla se sunñā qissa-e-āsūdgī
lamha lamha ziist ko dushvār hote dekhnā
dekhnā lafzoñ ko ma.anī se mafar karte hue
chup ke aalam meñ mirā iz.hār hote dekhnā
thiiñ jo kal tak shab-guzārī kā vasīla hijr meñ
ab unhīñ yādoñ ko tum āzār hote dekhnā
qasr-e-kohna ham ki kuchh mahsūs tak karte nahīñ
sirf apne aap ko mismār hote dekhnā
Top Urdushayar.com