āḳhirī gaaḌī guzarne kī sadā bhī aa ga.ī
so raho be-ḳhvāb āñkho! raat aadhī aa ga.ī
zindagī se siikh liiñ ham ne bhī duniyā-dāriyāñ
rafta rafta tum meñ bhī mauqa.a-parastī aa ga.ī
sāda-lauhī den jo qasbe kī thī ruḳhsat huī
shahr aanā thā ki is meñ hoshiyārī aa ga.ī
ham mile the jaane kyā āfat-zada rūheñ liye
guftugū auroñ kī thī aapas meñ talḳhī aa ga.ī
apne hī gaañv kī sarhad par pahuñch kar aaj ham
pūchhte haiñ ham-safar! ye kaun bastī aa ga.ī
ab na zauq-e-rah-navardī hai na lutf-e-māñdgī
aisā lagtā hai ki manzil par savārī aa ga.ī
tark kyuuñ karte nahīñ ho kārobār-e-ārzū
'ḳhānqāhī' ab to bāloñ meñ safedī aa ga.ī