Nashtar Khaanqahi

chha gaya sar pe mere gard ka dhundla baadal

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
chhā gayā sar pe mire gard kā dhuñdlā bādal
ab ke sāvan bhī gayā mujh pe na barsā bādal
siip bujhte hue sūraj kī taraf dekhte haiñ
kaisī barsāt mirī jaan kahāñ kā bādal
vo bhī din the ki Tapaktā thā chhatoñ se pahroñ
ab ke pal bhar bhī muñDeroñ pe na Thahrā bādal
farsh par gir ke bikhartā rahā paare kī tarah
sabz bāġhoñ meñ mire ba.ad na jhūlā bādal
laakh chāhā na milī pyaar kī pyāsī āġhosh
ghar kī dīvār se sar phoḌ ke royā bādal
aaj kī shab bhī jahannam meñ sulagte hī kaTī
aaj kī shab bhī to botal se na chhalkā bādal
Top Urdushayar.com