Nashtar Khaanqahi

khiDkiyan mat khol jins-e-jaan uTha le jaega

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
khiḌkiyāñ mat khol jins-e-jāñ uThā le jā.egā
ghar ke ghar ko shahr kā relā bahā le jā.egā
sab namak ehsās kā saarī halāvat zaḳhm kī
aane vaale din kā Dar saarā maza le jā.egā
is barastī raat kā ye āḳhirī aañsū bhī kal
mujh se chāhat us kī āñkhoñ se vafā le jā.egā
kisht-e-dil ko chaaT legā kirm-e-duniyā aur phir
bach rahegā kuchh to vo sail-e-havā le jā.egā
jal-bujhegā ik na ik din sab kā sab shahr-e-vafā
rah ga.ī ik raakh so paanī bahā le jā.egā
tez-tar tūfāñ kī aahaT aur yahāñ miTTī na aag
ab ise aane bhī do ye mujh se kyā le jā.egā
vo mirā saffāk dushman laakh maiñ ġhāfil na huuñ
ḳhud mire ghar se mujhe ik din bulā le jā.egā
Top Urdushayar.com