kyā ḳhabar hai na mile phir koī shīsha aisā
ḳhud ko chhūte hue Dartā huuñ shikasta aisā
sabza-e-lams pe baḌhtā huā lamha lamha
sust-rau sho.ala-e-tūfān-e-tamannā aisā
ab na dastak meñ sadā hai na hai zanjīr meñ shor
band ab tak na huā thā dar-e-tauba aisā
saañs ke saath lapaktā hai tah-e-mauj-e-ḳhayāl
kis ne boyā thā mire jism meñ sho.ala aisā
sar se Tapkā jo shajar ke to zamīñ bhī na milī
ab ke ik barg-e-javāñ shāḳh se TuuTā aisā
aks ko naqsh to jazbe ko karūñ pāra-e-rañg
kal ke ā.īne se jhāñkegā na chehra aisā
ab to zanjīr-e-ta.alluq hai na vo rishta-e-dard
maiñ vo ḳhush-baḳht ki paayā hai zamāna aisā