Nashtar Khaanqahi

ruKH pe bhuli hui pahchan ka Dar to aaya

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
ruḳh pe bhūlī huī pahchān kā Dar to aayā
kam se kam bhiiḌ meñ ik shaḳhs nazar to aayā
na sahī shahr-e-amāñ zehan kā kuufa hī sahī
ghor jañgal kī masāfat meñ nagar to aayā
kaT gayā mujh se mirī zaat kā rishta lekin
mujh ko is shahr meñ jiine kā hunar to aayā
mere siine kī taraf ḳhud mire nāḳhun lapke
āḳhir is zaḳhm kī Tahnī pe samar to aayā
kuchh to so.e hue ehsās ke baazū thirke
ab ke paanī kā bhañvar tā-ba-kamar to aayā
band kamre kī umas kuchh to shanāsā niklī
sub.h ke saath kā bhaTkā huā ghar to aayā
tan kī miTTī meñ ugā zahr kā paudā chup-chāp
mujh meñ badlī huī duniyā kā asar to aayā
Top Urdushayar.com