Nashtar Khaanqahi

tez-rau pani ki tikhi dhaar par bahte hue

Nashtar Khaanqahi

Jahanabad, Uttar pradesh, India

1931-2006
tez-rau paanī kī tīkhī dhaar par bahte hue
kaun jaane kab mileñ is baar ke bichhḌe hue
apne jismoñ ko bhī shāyad kho chukā hai aadmī
rāstoñ meñ phir rahe haiñ pairahan bikhre hue
ab ye aalam hai ki merī zindagī ke raat din
sub.h milte haiñ mujhe aḳhbār meñ lipTe hue
an-ginat chehroñ kā bahr-e-be-karāñ hai aur maiñ
muddateñ guzrīñ haiñ apne-āp ko dekhe hue
kin rutoñ kī aarzū shādāb rakhtī hai inheñ
ye ḳhizāñ kī shaam aur zaḳhmoñ ke ban mahke hue
kaaT meñ bijlī se tīkhī baal se bārīk-tar
zindagī guzrī hai is talvār par chalte hue
Top Urdushayar.com