na.e uslūb meñ zinda hue haiñ
tabhī to harf-e-ā.inda hue haiñ
tulū-e-sub.h kī ummīd kam thī
duā-e-shab se tābinda hue haiñ
na kaam aayā jahāñ arz-e-hunar bhī
lab-e-iz.hār sharminda hue haiñ
badan meñ jiite jī jo mar ga.e the
vo apnī ruuh meñ zinda hue haiñ
hamārī sho.alagī sab se judā hai
bujhe haiñ ham to sozinda hue haiñ
miTā saktā nahīñ jin ko zamāna
kuchh aise naqsh-e-pā.inda hue haiñ
hameñ sūd-o-ziyāñ se kyā 'suḳhan' ham
na yābinda na gīrinda hue haiñ