safar meñ tīra-shabī ke azaab itne haiñ
isī liye to pareshān ḳhvāb itne haiñ
jidhar bhī dekhiye dasht-e-tahayyurāt sā hai
jidhar bhī jā.iye ab inqalāb itne haiñ
tumhāre saath chaleñ ham ne bārhā sochā
hamārī jaan ko lekin azaab itne haiñ
qadam qadam pe hai imkāñ fareb kā yaaro
nazar nazar meñ yahāñ to sarāb itne haiñ
abhī hai duur har ik mahfil-e-tarab se 'suḳhan'
dil-o-nazar meñ abhī iztirāb itne haiñ