na.e haiñ vasl ke mausam mohabbateñ bhī na.ī
na.e raqīb haiñ ab ke adāvateñ bhī na.ī
javāñ diloñ meñ panapte haiñ ab na.e rūmān
hasīn chehroñ pe likkhī ibārateñ bhī na.ī
vo mujh ko chhū ke pashemāñ hai ajnabī kī tarah
adā.eñ us kī achhūtī sharārteñ bhī na.ī
vo jis ne sar meñ diyā inqalāb kā saudā
mire lahū ko vo baḳhshe harārateñ bhī na.ī
ḳhushī meñ hans nahīñ sakte ye ġham ki ġham bhī nahīñ
hamāre karb anokhe aziyyateñ bhī na.ī
na.ī ravish na.e imkāñ nirālā tarz-e-'suḳhan'
hamāre lafzoñ se raushan bashārateñ bhī na.ī