Abdul Wahab Sukhan

jab amn ke aasar dekhte hain

Abdul Wahab Sukhan

Rampur, Uttar pradesh, India

1970
jab amn ke āsār dekhte haiñ
māhaul sharar-bār dekhte haiñ
hai farz yahāñ kis pe shahryārī
sab apnī hī dastār dekhte haiñ
aa.ina to sab dekhte haiñ lekin
ham ā.ina-bardār dekhte haiñ
maiñ miil kā patthar huuñ mujh ko rahrav
muḌ muḌ ke ka.ī baar dekhte haiñ
jo log the badnām shahar bhar meñ
vo log bhī kirdār dekhte haiñ
vo haar meñ bhī sharmsār hai kab
ham jiit meñ bhī haar dekhte haiñ
hai ḳhuub 'suḳhan' ishq-e-nek-tīnat
ham ruuh ko sarshār dekhte haiñ
Top Urdushayar.com